|
Tarif oos Khuda ki jisne jahan banaya
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
E rotale bichhayi kya khub farsh khaaN ki Aur sir pe laaj verdi ek Saayba banaya
Mitti se bel boote kya khushnumaa oogaye Pehna ke sabz khillat oonko jawaaN banaya
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
Khush rung aur khushbu gul phool khilaye Is khaak ke khander ko kya gulshitaaN banaya
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
Meve lagaye kya kya Khush jaay aur rashile Chakhne se jinke humko shiri dahaN banaya
Suraj se humne paayi gurmi bhi roshni bhi kya khub chasma tune ae meherbaaN banaya
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
Suraj banake toone ronak jahaaN ko bakhshi Rehne ko ye hamare achchha makaaN banaya
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
Machhli ke terne ko aabe rawaaN banaya Aabe rawaaN ke under machhli banayi toone
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
Ye pyari pyari chidya firti hai jo chehuk ti Kudrat ne teri inko Tasbi KhawaaN banaya
Tinke ootha ootha ker laaye kahan kahan se Kis khubsurati se fir AashiyaaN banaya
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
Oonchi oode hava mey bachcho ko per na bhule In beparo ka oonko Roji rashaaN banaya
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
Hur chiz se hai teri karigari tupuk ti Ye kaarkhana toone kabraayegaaN banaya
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
Rehmat se teri kya kya Naimate hai mayssar In naimato ka mujko kya kadrdaaN banaya
Tarif oos Khuda ki jisne jahaN banaya Kaisi ZamiN banayee kya AasmaaN banaya
Azaan ho rahi hai, Muaz'zin bula raha hai
Azaan ho rahi hai, Muaz'zin bula raha hai Padhle namaaz muslim, ab waqt jaa raha hai
Jaayega jub yahan se, pehla sawal hoga, masjid se tu hamesha que duur bhagta tha?
Azaan ho rahi hai, Muaz'zin bula raha hai Padhle namaaz muslim, ab waqt jaa raha hai
Shaitaan tujko apna saidaa bana raha hai, shaitaan se duur hoja Qur'aan bata raha hai.
Azaan ho rahi hai, Muaz'zin bula raha hai Padhle namaaz muslim, ab waqt jaa raha hai
Maloom kya hai tujko paayi Namaz kaisi? Meraj mey Khuda ne, habib e Khuda ko bakhshi
Azaan ho rahi hai, Muaz'zin bula raha hai Padhle namaaz muslim, ab waqt jaa raha hai
Afsos chhodker ye khushiya mana raha hai Duniya ki ishrato mey haq ko bhula raha hai
Azaan ho rahi hai, Muaz'zin bula raha hai Padhle namaaz muslim, ab waqt jaa raha hai
Didar kerna hai ger, Musalla bichha Zamin per Fir Dil ki aankh se dekh, hota hai kya maysser
Kehte hai Allah wale, hota hai kya wo munjer Bunde ko bundgi mey Jalwa dikha raha hai
Azaan ho rahi hai, Muaz'zin bula raha hai Padhle namaaz muslim, ab waqt jaa raha hai
Mehsher ke roz aesa chamkega tera chehra Chamka hai aasman per yun chaand chaudvi ka
Ye hai wuzu ka darja Qur'aan bata raha hai Jannat ki raah tujko Qur'aan dikha raha hai
Azaan ho rahi hai, Muaz'zin bula raha hai Padhle namaaz muslim, ab waqt jaa raha hai
Taufiq de Elahi Aadi bane namazi Malik ko apne hurdum ker lenge hum raazi
Roje Jaza ka munzer nazron mey aa raha hai Kya hone wala hai kya hota ja raha hai